Friday, 26 August 2011

ADAT

ab to tanha jeene ki adat ho chuki hai....
tha wo bhi zamana jab tha yaaron ka saath....
ghumna firna aur wo ladna wo masti bhari baat...
us zamane ko guzre huye ek muddat ho chuli hai
ab to tanha jeene ki adat ho chuki hai...

saath nibhaya logon ne par pal bhar ke liye...
kuch hanse kuch roye fir nikal liye apne ghar ke liye...
takdir ke khel ab samjh nahi aate..
duniya ke ye aisho aaram mujhe ab nahi lubhate...
ab baatein karta hun khudse aisi haalat ho chuki hai..
ab to tanha jeene ki adat ho chuki hai...

ab na aati yaad kisi ki na kisi ka gham hai...
na kabhi hote hain hum khafa na hoti ankhein nam hai...
uspe(khuda pe) itna yakeen hai ki wo mere saath hai...
chahe mausam ho gham ka fir bhi lage ki khushiyon ki barsaat hai...
ye zindagi meri ek jannat ho chuki hai...
ab to tanha jeene ki adat ho chuki hai...

logon ne kuch waqt mujhe manana chaha....
badal gya hun main fir wo purana banana chaha...
khuda bhi museebtein de kar use bhulne ko kehta rha...
par hota gya main kathore ye dard aur bhi sehta gya....
ab ye alam hai ki us khuda ki bhi ijazat ho chuki hai...
ab to tanha jeene ki adat ho chuki hai..
                                                                                                                    Atul Guleria....

No comments:

Post a Comment