kuch tha kehna magar dil mein reh gya.....
maine socha ki kabhi fursat mein btayenge...
sahi waqt aane pe haal-e-dil sunayenge.....
yahi soch kar main chup sa reh gya...
kuch tha kehna magar dil mein reh gya..
tumhari wo baatein mujhe yaad aati hain pal pal...
ab tanhai mein khud se hi baatein karta rehta hun main aajkal...
usi tanhayi mein main tanha sa reh gya...
kuch tha kehna magar dil mein reh gya..
dil ka haal main tumhe kabhi bta na ska...
mohabbat to kya main dosti ka haq bhi jta na ska..
mera yahi dil ka armaan shayad aansuon sa beh gya...
kuch tha kehna magar dil mein reh gya...
khushi tumhari ke liye apne jazbaat chupa liye..
tumne kaha dost bano to hum tumhe dost bana liye...
kehna tha kuch par kuch aur hi keh gya...
kuch tha kehna magar dil mein reh gya...
tumse shayad hamein kuch gham na mile...
milenge tumhe bahut log par shayad hum na mile...
iss waqt ko meetha sa dard samjh kar seh gya..
kaash tumse keh paata jo dil mein reh gya
Atul Guleria.....
No comments:
Post a Comment