anjaani zindagi anjaana main khud se...
dhundh rha tha ek aisa thikana jiska khud koi thikana na tha...
dur jaane ke to the kayi bahane uske paas par paas aane ka koi bahana na tha..
wo koi jadu sa kar gya tha ya main khud se hi darr gya tha...
jo main doobta chala gya uski gehrayi mein....
dardon ko hans ke seh gya..socha ismein us manzer ki galti nahi hogi...
socha ki shayad usne bhi itni hi takleefein sahi hogi...
usne kabhi paas bulaya to kabhi thukraya...
par main smajhta rha majboori uski...
khud se bola jhuth maine aur sehta rha doori uski....
aaj fir us manzar ne yaad kia tha mujhe..
par sirf alvida kehne ke liye..
ab lagta hai aur musaafir mil gya hai usko vhan rehne ke liye..
us thikane ko bhi aayegi ik din is musaafir ki yaad...
jab aur musafiron ka usmein aana jaana hoga..
khan milega aisa musafir usko...
jiske jeene marne ka bas wohi bahana hoga...
anjaani raahein anjaana main khud se...
Atul Guleria...